Reliance Jio Giga Fiber Broadband Plans Ki Puri Jankari Hindi Me

Reliance Jio Giga Fiber Broadband Plans ka sab log besabri se intejar kar rahe honge. Ab aapka intejar khatam ho sakta hai. Reliance ne apni Jio Broadband Service 5 July 2018 ko launch kardi hai. Aap JioGiga Fiber Brodband Service ke liye My Jio App se 15 August 2018 ko apply kar sakte hai.

Jio Giga Fiber Broadband Plans Ki Puri Jankari Hindi Me

Aap sabko pata hi hoga Reliance ne kaise jio 4g service launch karke aadhe se jyada market capture kar liya tha. Bilkul waise hi ab jiogigafiber broadband service launch karke Reliance saari market apne under kar sakta hai.

Jio jab apni broadband service launch karega, toh sahid aapko koi welcome offer bhi mil sakta hai. Jaise Jio 4g ke time unlimted free data use karne ko mila tha. Agar aisa hota hai, toh aapko 1Gbps ki speed par free me unlimited data use karne ko milega.

Reliance Jio Giga Fiber Broadband Plans Ki Jankari in Hindi

Dosto main aapko bata du jio fiber plans revealed ho chuke hai. jio ne khud yeh plans apni website par revealed kiye hai. Jinke baare me maine aapko neeche detail me bataya hai. Agar aap in plans ke baare me jaana chahte hai, toh yeh post puri read kare.

JioGigaFiber Kya Hai?

JioFiber jio ki taraf se ek latest service hai aapke home ke liye. Jio aapko Digital Life me ek Superior Internet Experience karne ka mauka de raha hai. Fiber ek future ki technology hai. Yeh aapko internet surf, stream, game and work me ek ultimate broadband experience provide karti hai.

Jio Fiber aapko Ultra Fast Upload and Download Speeds bahut hi effective price me provide karti hai.

Jio Fiber to the Home (FTTH) Technology Kya Hai?

Dosto yeh ek trah ki fiber cable hoti hai. Is cable me bahut saari small cables hoti hai, jo aapke hair se bhi 10 time small hoti hai. In cable me se light ke jariye data receive or send kiya jata hai. Iske jariye aapko 100Gbps tak data speed mil sakti hai.

Jio ne abhi india me bahut saari jagah par apni jio fiber cables laga di hai. Ab jio kabhi bhi apni jio broadband service launch kar sakta hai.

Jio Giga Fiber Online Registration Kaise Kare

Dosto 15 August 2018 ko jiogigafiber ka registration process start ho chuka hai. Agar aap bhi jio broadband service pana chahte hai, toh iske liye aapko online registration karna padega, jiske liye aapko jio ki website par visit karna hai. Fir aap jio giga fiber online book kar sakte hai.

  1. Sabse pehle Jio.com website open kare.
  2. Website par aapko JioGigaFiber ka banner dikhega us par click kare.
  3. Fir aapko apne office ja ghar ka address fill karna hai, ( aap chahe toh map par apni location mark karke address autofill kar sakte hai.
  4. Last me aapko confirm button par click kar dena hai.

Upar bataye huye steps follow karne ke baad aapki jio giga fiber ke liye registration complete ho jayegi. Aapke area ke jitne jyada log yeh process follow karenge, utni jaldi yeh service aapko milegi.

What is the current plan/offer in JioFiber? in Hindi

Abhi jo current JioGigaFiber preview offer hai, usme aapko 1Gbps tak ultra high-speed internet milega. Jiski validity 90 days tak hogi, aur aapko 100GB ka monthly data quota milega. Iske ilawa aapko Jio premium apps ka free access milega.

Agar aapka 100GB Data Quota month ke under consume ho jata hai, toh aap 40 GB ka alag se MyJio app se top-up karwa sakte hai. Is preview offer ke time aapse koi installation charges nahi liye jayenge.

But aapko Rs 4,500 ka refundable security deposit dena padega ONT device (GigaHub Home Gateway) ke liye.

Aap Rs. 4,500 refundable security deposit apne Debit Card, Credit Card, Jio Money or Paytm se pay kar sakte hai. Jio Broadband Service launch hone par aapko sirf prepaid jio fiber broadband plans hi milenge. But kuch time baad jio post-paid plan bhi launch kar dega.

Iske ilawa bhi kuch aur plans hai. But woh officaly jio ki taraf se nahi bataye gaye hai. Agar aap un plans ke baare me jaana chahte hai, toh aap neeche woh plans check kar sakte hai.

JioGigaFiber Broadband Monthly Plans Ki Jankari Hindi Me

JioFiber Monthly Plans ko 2 Cattegories me divide kiya gaya hai, jo aap neeche dekh sakte hai.

  1. Fiber Speed-based plans.
  2. Fiber Volume-based plans.

JIO Giga FIBER BROADBAND SPEED-BASED MONTHLY PLANS Detail in Hindi

Speed Based Plan me aapko speed Restrictions milegi. Matlab Aap jitne ka jio fiber broadband plans lenge aapko utni hi speed milegi.

Jio Fiber Plans Speed Mbps Data Limit Plan Price Validity
Jio Fiber 50 Mbps Plan 50 2000 GB Rs. 1500 30 days
Jio Fiber 100 Mbps Plan 100 1000 GB Rs. 2000 30 days
Jio Fiber 200 Mbps Plan 200 750 GB Rs. 3500 30 days
Jio Fiber 400 Mbps Plan 400 500 GB Rs. 4000 30 days
Jio Fiber 600 Mbps Plan 600 300 GB Rs. 5500 30 days

JIO FIBER BROADBAND VOLUME-BASED MONTHLY PLANS in Hindi

Agar aap without speed limit unlimited speed ka maza lena chahte hai, toh Volume Based Plan aapke liye best hai. Isme aapko koi speed restriction nahi milti.

Per day data usage Speed Plan Price Validity
5 GB daily plan Unlimited Rs. 1000 30 days
10 GB daily plan Unlimited Rs. 2000 30 days
20 GB daily plan Unlimited Rs. 3000 30 days
40 GB daily plan Unlimited Rs. 4000 30 days
60 GB daily plan Unlimited Rs. 5000 30 days

Dosto ab aapko yeh toh pata chal gaya hoga, ke jio giga fiber kya hai aur iske plans kya ho sakte hai. But yeh aapki city me available hai ja nahi iske baare me aapko nahi pata hoga. Iske liye maine neeche kuch cities ke name diye hai. Jaha par jio broadband service sabse pehle launch hogi.

  • Ahmedabad
  • Chennai
  • Delhi
  • Delhi-NCR
  • Jaipur
  • Jamnagar
  • Kolkata
  • Mohali
  • Mumbai
  • Navi-Mumbai
  • Surat
  • Vadodara

Agar aap upar batayi huyi kisi city se hai, toh aapko jio fiber internet service sabse pehle mil sakti hai. Iske ilawa agar koi welcome offer aata hai, toh aap uska bhi maza free me le sakte hai.

Toh dosto aapko Reliance Jio Giga Fiber Broadband Plans Ki Puri Jankari Hindi Me post kaisi lagi aap neeche comment karke jarur bataye. Agar aapka is post se related koi swaal ho, toh aap woh bhi comment me puch sakte hai.

वैशाली

वैशाली लखनऊ उत्तर प्रदेश से हैं। वह शिक्षा के क्षेत्र से जुड़ीं हैं, और लोगों के साथ ज्ञानवर्धक जानकारी साक्षा करने में रूचि रखतीं हैं। इनके काफी लेख इन्टरनेट पर प्रकाशित हो चुके हैं।

Comments (2)

  1. इसका इंतज़ार मुझे भी था.आज ही मैंने भी इसका रजिस्ट्रेशन किया है लेकिन इसके प्लान्स के बारे में ज़यादा जानकारी नहीं थी…आप का ये पोस्ट पढ़ के अब सारे प्लान्स जान गया हूँ.आप का ये पोस्ट मेरे बहुत काम आया. धन्यवाद

    jio phone 2 की कीमत और खूबियाँ

    Reply
  2. इसका इंतज़ार मुझे भी था.आज ही मैंने भी इसका रजिस्ट्रेशन किया है लेकिन इसके प्लान्स के बारे में ज़यादा जानकारी नहीं थी…आप का ये पोस्ट पढ़ के अब सारे प्लान्स जान गया हूँ.आप का ये पोस्ट मेरे बहुत काम आया. धन्यवाद

    jio phone 2 की कीमत और खूबियाँ

    Reply

Leave a Comment