Pendrive Se Shortcut Virus Remove Kaise Kare [ Permanent ]

Pendrive Se Shortcut Virus Remove Kaise Kare [Permanent]: Aaj main apko is Post ke jariye Pendrive se shortcut virus remove kaise karte hai iske baare mein btaunga. Aaj kal Pendrive har kisi ke paas milti hai Pendrive mein ham apna jaroori data Store krke Rakhte hai kai baar hmari Pendrive [ Usb ] Mein Kuch Shortcut File Ban Jaati Hai Jo Delete Krne Ke baad v Wapis Apne Aap aa jati Hai.

pendrive shortcut virus remove

Ham apni Pendrive ko kitni v vaar Format krle Je Shortcut file Permanent Delete nahi Ho paati Is Virus Ko Delete krna Bahut Assan Hai. Chaliye Jaante Hai Shortcut Virus Ko Pendrive Se kaise Remove Kare.

Pendrive Se Shortcut Virus Kaise Remove Kare

Aap Pendrive ke Shortcut Virus Ko CMD KI Maddad Se Delete Kar sakte Hai.

CMD Ka Matlab Hai – Command Prompt Is Method Se Aap Shortcut Virus Ko Permanent Remove Kar Sakte Hai.

1. Sabse Pehle Aapko Window Key + R Dono Ko Ek Saath Press Karna hai. Press krne ke baad apke samne ek Box khulega Usme Apko CMD Type Krna Hoga. Fir Enter Key Ko Press Krna Padhega. Jab Apke Samne Cmd Open Ho jayega. Toh Yeh Neeche Diye Screenshot jaisa lagega.

enter code in cmd

2. Ab aapko Pendrive Ke Name ke aage likhe huye Letter ko Cmd mein Type krna hai.

Jaise meri Pendrive Ke Name Ke Aage D Letter Hai. Toh Main Aise Type Kruga.

Example–  D:

3. Ab Aap Ki Pendrive Select Ho chuki Hai. Bas Apko Yeh Command Deni Hogi.

D:> Ke Aage Neeche Likhe Code ko Type Kare

attrib [button color=”” size=”” type=”outlined” target=”” link=””]d[/button]:*.* /d /s -h -r -s

Note. Blue ki Gayi ( d ) ki Jagah Apni Pendrive Ka Letter Likhe Is Screenshot Ki Trah.

cmd virus remove

Yeh Likhne Ke Baad Aapko Enter Key Ko Press Krna Hai. Fir Uske Baad Apki Pendrive Ke Shortcut Virus Ko Remove karne Ka Process Shuru Ho Jayega. Thoda Samay Wait kare Process Khatam Hone Ke Baad Aapki Pendrive Se Shortcut Virus Permanent Remove Ho jayega.

Aapko Pendrive Se Shortcut Virus Remove Kaise Kare [Permanent] Post Kaisi Laggi Comment Karke Jarur Btaye Agar Koi Problem Aa Rahi Ho Toh Comment Karke Puch Sakte Hai. Agar Apko Yeh Jaankari Achi Laggi Toh Isko Share Aur Like Jarur Kare New Latest Updates Apne Email Me Paane Ke Liye Subscribe Jarur Kare

वैशाली

वैशाली लखनऊ उत्तर प्रदेश से हैं। वह शिक्षा के क्षेत्र से जुड़ीं हैं, और लोगों के साथ ज्ञानवर्धक जानकारी साक्षा करने में रूचि रखतीं हैं। इनके काफी लेख इन्टरनेट पर प्रकाशित हो चुके हैं।

Leave a Comment