Online Railway Tatkal Ticket Book Kaise Kare Confirm in Hindi

Online Railway Tatkal Ticket Book Kaise Kare Confirm In Hindi: Dosto axar hum logo ko kabhi urgent kisi kaam se bahar jana padta hai. But tatkal me ticket na milne ki wajah se hamara jana cancel ho jata hai. But ab aage se aapke saath aisa nahi hoga.

Aaj main aapko ek aisa tarika batane ja raha hu, jiski help se aap online 100% railway tatkal ticket book kar sakte hai. Ab aapko railway station ja kar lambi lambi line me lag kar wait karne ki jarurat nahi padegi. Aap ghar baithe 1 minute ke andar confirm tatkal ticket book karwa sakte hai.

IRCTC ki website par subah 10AM se online booking shuru ho jati hai. But us time website par ek saath bahut saare log ticket book karte hai. Jiske karan website par bahut jyada load pad jata hai, aur kayi baar website crash bhi ho jati hai, aur ticket book nahi ho pati. But yaha par main aapko jo method btaunga, uski help se aap within 45 second me hi tatkal ticket book kar sakte hai. Toh chaliye jyada time na lagate huye jaan lete hai. Online Railway Tatkal Ticket Book Kaise Kare Confirm In Hindi

Ticket book karne se pehle hum jaan lete hai, ke yeh kaam kaisa karta hai. Dosto basically aap jab ticket book karte hai, toh aapse bahut saari information puchi jaati hai. Jaise passenger name, train name, age aur bhi bahut kuch jo aapko online fill karni hoti hai.

But is method mein aapko puri detail pehle hi apne browser me fill kar deni hai, aur fir jaise hi online ticket booking shuru hogi, toh woh puri detail apne aap IRCTC ki website me autofill ho jayegi. Jis se aapka time bachega aur aap ticket sold out hone se pehle buy kar sakenge.

IRCTC Se Tatkal Ticket Book Kaise Kare 100% Confirm

online tatkal ticket book kaise kare

STEP 1:

Sabse pehle aap Computer par chrome browser open kare, aur usme Tatkalforsure.com website oepn kare.

STEP 2:

Website par aapko “Book Tatkal” ka button milega. Jab aap us par click karoge, toh aapke samne extension add hone kiye liye ek popup aayega. Aapko Add extension par click kar dena hai. Iske baad extension add ho jayega.

 book tatkal

STEP 3:

Jab extension chrome me add ho jayega, toh aapko browser me right side me upar ki taraf ek icon show hogi, us par click karke aapko “Genrate Ticket” par click karna hai.

genrate ticket

STEP 4:

Ab aapke samne ek new page open hoga. Aapko us page par “Create a new trip” par click karna hai.

create a new trip

STEP 5:

IRCTC Login Details

Next page par aapko IRCTC Website ki login detail enter karke next par click kar dena hai.

IRCTC Detail

STEP 5:

Train Details

Ab aapko Apne train ki detail fill karni hai. Jaise aapko kaha se kaha tak jana hai, kaunsi train me jana hai, aur kaunsi date par aapko safar karna hai. class select karni hai.

trip information

STEP 6:

Passenger Details

Next page par aapko passenger ki detail enter karni hai. Example jaise uska name, age, gender, berth aur meal. Agar aapke saath koi child bhi jane wala ho, jiski age 5 years se kam ho, toh aap uski detail neeche fill karde.

passenger information

STEP 7:

Other Detail me aapko apna mobile number enter karna hai, aur Book only if confirm seats are alloted aur None ki option ko select karna hai. baki aap apne hisab se bhi option select kar sakte hai.

enter mobile number

STEP 8:

Payment Details

Aage aapko apna payment method set karna hai. Agar aap jaldi se tatkal ticket book karna chahte hai, toh aap isme apne card ki detail fill kar sakte hai. Yeh bilkul secure hai. Yeh detail aapke chrome browser me hi store hogi. Aap chahe toh isko skip bhi kar sakte hai.

fill card information

STEP 9:

Jaise hi aap submit par click karoge, aapki ticket create ho jayegi. Bus ab aapko 10.57AM par Book Now button par click karna hai.

click on book now

STEP 10: Jaise hi aap book now button par click karoge, toh aap direct IRCTC ki website par chale jayoge. Waha par aapki log in detail apne aap fill ho jayegi. Bus aapko Captcha enter karke login par click karna hai.

ENTER CAPTCHA

STEP 11:

Jab aap login par click kar doge, toh aage ka kaam apne aap automatically hone lag jayega. Jo train ki information aapne fill ki hogi. woh apne aap fill hoti jayegi. Last me aapko ek aur baar captcha enter karna hai.

CAPTCHA

STEP 12:

Jaise hi aap captcha enter kar doge, toh aap apni bank ki website par phaunch jayoge. Yaha se jab aap payment compelte kar denge, toh aapki ticket succesfully book ho jayegi.

Note. Agar aapne tatkal ticket extension me payment method ki information fill nahi ki hogi, toh aapko woh information fill karni padegi. Jaise Card Number, CVV aur Expiry Date.

Dosto agar aap next time kabhi online ticket book karte hai, toh is method ko ek baar try jarur kare. Yeh method 100% work karega. Agar aapka is article se related koi swaal ho, toh aap neeche comment karke puch sakte hai.

Toh dosto aapko tatkal railway ticket booking kaise kare post kaisi laggi aap neeche comment karke jarur bataye

वैशाली

वैशाली लखनऊ उत्तर प्रदेश से हैं। वह शिक्षा के क्षेत्र से जुड़ीं हैं, और लोगों के साथ ज्ञानवर्धक जानकारी साक्षा करने में रूचि रखतीं हैं। इनके काफी लेख इन्टरनेट पर प्रकाशित हो चुके हैं।

Comments (8)

  1. Dear sir hum tickets book karte hai to nahi hota hai agr yahi ticket sayber Vale ya agents book karte. Hai to asani se ho jata hi unke pass irctc ka koi apss hota hai ya fir isi tips se karte hai

    Reply
    • Kayi agent advance me ticket book kar ke rakh lete hai, aur jab kisi ko ticket chahiye hota toh us se jyada paise le kar usko sell kar dete hai.

      Reply
  2. Dear sir hum tickets book karte hai to nahi hota hai agr yahi ticket sayber Vale ya agents book karte. Hai to asani se ho jata hi unke pass irctc ka koi apss hota hai ya fir isi tips se karte hai

    Reply
    • Kayi agent advance me ticket book kar ke rakh lete hai, aur jab kisi ko ticket chahiye hota toh us se jyada paise le kar usko sell kar dete hai.

      Reply
  3. Kayi agent advance me ticket book kar ke rakh lete hai, aur jab kisi ko ticket chahiye hota toh us se jyada paise le kar usko sell kar dete hai. sem comment

    Reply
  4. Kayi agent advance me ticket book kar ke rakh lete hai, aur jab kisi ko ticket chahiye hota toh us se jyada paise le kar usko sell kar dete hai. sem comment

    Reply

Leave a Comment