SBI Internet Banking Apply or Activate Kaise Kare Online or Offline

Internet Banking (Net Banking) ke baare me sahid aapne suna hoga. But bahut saare logo ko iske baare me abhi pata nahi hai. Jyadatar log online transaction ke liye credit card or debit card ka hi istemal karte hai. But yehi same kaam aap internet banking ki help se bhi kar sakte hai. Toh isliye Aaj main aapko internet banking kya hai or net banking ke liye online or offline apply kaise kare iske baare me btauga.

Internet Banking Apply And Activate Kaise Kare Full Guide

Dosto agar aap internet banking apply karte hai, toh aapko isme bahut saare feature dekhne ko milte hai. Example jaise aap ghar baithe apna account balance check kar sakte hai, kisi ke account me paise transfer kar sakte hai. Iske ilawa aap ghar baithe aadhar card bank se link karwa sakte hai.

Yaha par main aapko SBI State Bank of India ki internet banking activate karke btauga. Aap net banking online aur offline dono tariko se activate kar sakte hai. Agar aap SBI Internet banking apply karna chahte hai, toh aap neeche likhe steps follow kar sakte hai. net banking information in hindi

SBI Internet Banking Apply or Activate Kaise Kare Online aur Offline

Dosto yaha par main aapko 2 method btauga first online and second offline. Aapko jo method best lage aap uska use karke net banking activate karwa sakte hai. Toh chaliye sabse pehle 1st method ke baare me jaan lete hai.

SBI Internet Banking Online Activate Kaise Kare

Aap is online method se kuch hi minutes me internet banking activate kar sakte hai. Agar aap yeh method use karna chahte hai, toh aapke paas neeche batayi huyi cheeze honi chahiye.

  • ATM CARD
  • Registered Mobile Number

Note. Atm card aur registered mobile number us hi bank account ka hona chahiye. Jis par aap internet banking activate karwana chahte hai.

1. Sabse pehle aap OnlineSBI.Com website open kare, aur Personal Banking Section me New User Registration par click karke Ok par click karde.

New User Registration

2. Ab aapke samne ek Pop-Up window open hogi. Aapko usme puchi gayi detail fill karni hai.

New user Registration Form

  • Account Number – Yaha par aapko apna bank account number enter karna hoga.
  • CIF Number – Aapki paasbook me CIF Number hoga usko yaha enter kare.
  • Branch Code – Apni bank branch ka code enter kare. Agar aapko code nahi pata toh aap Get Branch Name par click karke apni location select karke code pata kar sakte hai.
  • Country – Apni country India select kare.
  • Registered Mobile Number – Apna bank me registered mobile number insert kare.
  • Facility Required – Agar aap net banking ke poore feature pana chahate hai, toh aap Full Transaction Right select kare.

Last me aapko show ho rahe text enter karke Submit par click kar dena hai.

3. Ab aapke Registered Mobile Number par ek OTP aayegi usko aapne yaha enter karke confirm par click kar dena hai.

enter otp

4. Ab aapko next screen me I have my ATM card (Online registration without branch visit) ko select karke submit par click kar dena hai.

i have my atm card

5. Next screen par aapko ATM Card verify karna hoga. Iske liye aapko Card se online Rs. 1 ki payment karni hogi. Jo baad me aapke account me credit ho jayegi.

fill atm detail

6. Submit par click karne ke baad aapse payment confirm karne ke baare me pucha jayega. Aapko Pay par click karke payment done kar deni hai.

7. Payment done hone ke baad next page par ek Temporary Username Genrate hoga. Aapko yeh username note kar lena hai, aur neeche aapko ek new strong password enter karke submit par click kar dena hai.

Note. Aap Username aur password note karke rakh le. Kyuke jyadatar log isko bhul jate hai.

temporary username

Submit par click karne ke baad aapki SBI Internet Banking Activate ho jayegi.

8. Ab aapko Temporary Username aur aapke dowara set kiye gaye Password se Onlinesbi.com par ja kar Personal Banking section me log in karna hoga.

SBI Internet Banking Apply or Activate Kaise Kare Online or Offline

Login karne ke baad aapko New Username rakhne ke liye kaha jayega. Aapko new username enter karna hai, jo next time login ke samay aapko enter karna hoga.

Username rakhne ke baad aapko Profile password rakhne ke liye kaha jayega. Yeh password aapki profile section ko secure rakhne ke liye rakha jata hai. Agar aap apni profile me koi changes karna chahte hai, toh sabse pehle aapko profile password enter karna hota hai.

Note. Login Password or Profile Password Dono alag alag hone chahiye.

Profile Password create karne ke baad aapke samne net banking ka dashboard open ho jayega.

SBI Internet Banking Offline Apply or Activate Kaise Kare

Internet Banking Apply karna bahut asaan hai. Aapko bas apni Bank me jana hai, aur waha se ek Online Internet Banking ka Form Fill karke Submit karna hai. Form Submit karne ke time aapko Ek Package diya jayega. Jisme aapki Internet Banking ka Default Username aur Password hoga.

Note. Agar Branch me net banking apply karne ke liye form na mile, toh aap Online Internet Banking Forum Download karke uska print out nikal ke fill up karke usko submit kar sakte hai.

1. Sabse pehle aap OnlineSBI.CoM website open karke Personal Banking me login username and password enter karke login ho jaye.

login

2. Login karne ke baad aapko New Username and Password enter karna hai. Jiski help se aap Net banking se login karna chahte hai.

Note. Password me Alphabet, Numeric aur Symbol hone chahiye.

Example – Name@]148

3. Ab aapko apni Profile me sahi jankari enter karni hai, aur Profile password set karna hai. Profile password aapki profile setting me login karne ke liye rakha jata hai.

Note. Login password aur profile password dono alag hone chahiye.

Yeh sab kuch karne ke baad aapki internet banking activate ho jayegi, aur aapke samne kuch aisa interface open hoga.

sbi net banking dashboard

  1. Click Here for Balance par click karke aap apna account balance check kar sakte hai.
  2. Click Here for Last 10 Transactions par click karke aap last 10 trasnaction dekh sakte hai.
  3. Bill Payment par click karke aap mobile recharge, dth recharge aur bill pay kar sakte hai.

Toh dosto aapko SBI Internet Banking Apply or Activate Kaise Kare Online Full Guide post kaisi lagi aap neeche comment karke jarur bataye. Agar aapko is post se related koi Problem aa rahi ho, toh aap woh bhi neeche Comment me puch sakte hai.

वैशाली

वैशाली लखनऊ उत्तर प्रदेश से हैं। वह शिक्षा के क्षेत्र से जुड़ीं हैं, और लोगों के साथ ज्ञानवर्धक जानकारी साक्षा करने में रूचि रखतीं हैं। इनके काफी लेख इन्टरनेट पर प्रकाशित हो चुके हैं।

Comments (10)

  1. Hello,
    SBI me internet banking online activate karne ke bare me aapne vistar se bataya hai jisko smjkar sbi net baking asani se activate ki ja sakti hai. Main bhi aapke jesa blog LogicalDost Hindi Run karta hu, aapke samjane ka tarika muje acha laga. SBI ATM/Debit Card Online Apply Kaise Kare

    Reply
  2. Hello,
    SBI me internet banking online activate karne ke bare me aapne vistar se bataya hai jisko smjkar sbi net baking asani se activate ki ja sakti hai. Main bhi aapke jesa blog LogicalDost Hindi Run karta hu, aapke samjane ka tarika muje acha laga. SBI ATM/Debit Card Online Apply Kaise Kare

    Reply

Leave a Comment