Blogger Me Template Change or Upload Kaise Kare

Blogger Me Template Change or Upload Kaise Kare Dosto hamne apni first post me jana tha Blogger par free website kaise banaye. Ab hum janege blog design kaise kare. Aapko pata hoga blog ko design karne ke liye aapko ek achi template apne blog me install karni hogi. Toh chaliye sabse pehle hum jaan lete hai template kya hoti hai.

blogger template change kaise kare

Template ek file hoti hai, jo xml format me hoti hai. Aapko blogger ke liye bahut saari template free me mil jayenge. Iske ilawa aapko bahut saari paid templates bhi ml jayegi.

Paid template me aapko kuch extra feature aur acha design mil jata hai, But kuch free theme me bhi aapko paid theme jaise feature mil jaate hai.

Agar koi new person first time koi template select karne lagta hai, toh uske dimag me bahut sari confusion hoti hai. aur usko template select karne me bahut sari problem face karni padti hai.

Aapko pata hi hoga blogging ke liye website beautifull dikhna kitna jaruri hai. Is liye maine neeche kuch points bataye hai, jiski help se aap ek achi template select kar sakte hai.

Blog Ke Liye Template Kaisi Honi Chahaiye

Ek achi blogger template Fast Loading, Seo Friendly, Responsive or Mobile Friendly hoti hai. Iske ilawa aapki webiste ka navigation bhi acha hona chahaiye, jisse user ko apni pasand ke topic asani se mil jaye.

Agar aapki template me yeh sab kuch hai, toh aapki template ek achi template hai. Ek achi template se aapko bahut saare benefits milte hai. Jaise aapko search engine me ranking increase hogi aur user aapki website par aur jyada akarshit honge.

Blog Ke Liye Template Kaha Se Download Kare

Aapko internet par bahut website mil jayenge, jo free or paid template provide karwati hai. But yaha par main kuch best website bata raha hu jiski help se aap apni pasand ki template free me download kar sakte hai.

Dosto aap blogger template kya hai, bloger template kaisi honi chahiye aur blogger template kaha se download kare yeh sab jaan chuke hai. Ab hum jaan lete hai ke Blogger Me Template Upload Kaise Karte Hai

Blogger Me Template Change or Upload Kaise Kare

Sabse pehle aapko apni pasand ki template download kar leni hai. Jo template aap download karoge, woh zip or rar format me hogi. Aapko Winrar Software ki help se template file open karke usme se XML File bahar extract jani bahar nikalni hai.

1. Template file winrar software se open kare, aur Template Folder select karke Extract To par click kare.

2. Ab Desktop select karke Ok par click kare.

Ab aapke desktop par template ka folder aa jayega. Jab aap us folder ko open karenge, toh aapko usme ek xml file milegi. Aapko is xml file ko blogger me upload karna hai. Iske liye aap neeche bataye huye steps follow kare.

  1. First aapko Blogger Dashboard open karke Theme par click karna hai.
  2. Ab aapko Backup/Restore par click karna hai.

theme setting

3. Ab aapke samne is trah ka ek pop-up box open hoga. Aapko Choose File par click karke template xml file select karni hai, aur iske baad upload par click karna hai.

upload theme

Jaise hi aap upload button par click karoge, toh aapki blogger template upload or change ho jayegi. Ab aap apni website open karke dekh sakte hai. Aapki website ab alag design me open hogi.

Toh Dosto aapko Blogger Me Template Change or Upload Kaise Kare post achi lagi toh isko share jarur kare. Agar aapko templete upload karne me koi problem aa rahi hai toh aap neeche comment karke bata sakte hai.

Agar aap is trah ke article ke update pana chahte hai, toh aap right side par bell icon par click karke notification enable jarur kare.

वैशाली

वैशाली लखनऊ उत्तर प्रदेश से हैं। वह शिक्षा के क्षेत्र से जुड़ीं हैं, और लोगों के साथ ज्ञानवर्धक जानकारी साक्षा करने में रूचि रखतीं हैं। इनके काफी लेख इन्टरनेट पर प्रकाशित हो चुके हैं।

Leave a Comment