Android Mobile Window 7 Me Change Kaise Kare (Launcher)

Android Mobile Window 7 Me Change Kaise Kare: Window 7 ek bahut hi popular operating system hai. ab aap window 7 jaisa experience apne android mobile and tablet me bhi le sakte hai. main aapko ek launcher ke baare me batane ja rahu hu jiski maddad se aap apne poore android phone ko computer jaisi look de sakte hai. is launcher me aapko bahut saare cool features milege jo aapko other launchers me nahi milte hai.

Android Mobile Window 7 Me Change Kaise Kare (Launcher)

Window 7 launcher sabhi android device me badiya kaam karta hai. maine ise khud try karke dekha hai apne tablet aur android mobile par. isme aapko start button, icons, recycle bin, clock widget, and jo bhi real window 7 me hota hai aapko sab isme milega. aapko bas yaha se launcher download karke usko install karna hai.

Features

  • Real Window 7 Experience.
  • Isme aapko My Computer milta hai jaise real window me hota hai.
  • Isme aap pc jaise cut Copy Paste bhi kar sakte hai.
  • Isme aapko Control Panel bhi milega phone settings me jane ke liye.

 

Android Mobile Window 7 Me Change Kaise Kare

1. Sabse pehle neeche diye huye link par click karke apk download kare.

Download Windows 7 Lanucher apk

2. Download karne ke baad apk ko install kare.

3. Install hone ke baad launcher open kare aur apne mobile ka home button press kare.

4. Fir Android Window ko select karke Always par click kare.

Always Par Click Kare

* Ab aapka launcher puri trah se install ho gaya hai ab aap apne mobile me bhi window 7 ka maza le sakte hai.

Screenshots –

window 7 launcher previewLauncher Screenshot

Agar aapko yeh launcher pasand aaye toh aapne friends ko iske baare me jarur bataye. aur launcher install karne me agar koi problem aa rahi ho toh aap neeche comment karke bata sakte hai main aapki puri maddad karunga problem solve karne me.

Aapko Android Mobile Window 7 Me Change Kaise Kare post kaisi lagi comment karke jarur bataye, aur new latest updates apne email me pane ke liye aap is blog ko subscribe kar sakte hai.

वैशाली

वैशाली लखनऊ उत्तर प्रदेश से हैं। वह शिक्षा के क्षेत्र से जुड़ीं हैं, और लोगों के साथ ज्ञानवर्धक जानकारी साक्षा करने में रूचि रखतीं हैं। इनके काफी लेख इन्टरनेट पर प्रकाशित हो चुके हैं।

Comments (8)

Leave a Comment