Budget Gaming Pc Build Kaise Kare Full Guide In Hindi

Budget Gaming Pc Build Kaise Kare Full Guide In Hindi Aaj Hum Budget Pc Build kaise kare. Iske baare me baat karenge. dosto jaise ke aap jaante honge, ke online lagbag computer ke saare parts mil jate hai. jaise ke Processor, Ram, GPU, HDD, SDD Aur Motherboard.

Magar In parts ke baare me internet par search kare toh aapko online bahut saare alag alag option milte hai. jisme hum kayi baar confuse ho jate hai. ke kaunsa processor, ram, gpu aur motherboard khride. aur kaunsa motherboard kis processor aur ram ko support karta hai.

Toh dosto aapko in sabhi sawalo ke jawaab is post me milenge. Main aapko ek website bataunga jiski maddad se aap apni pasand ka Computer Build kar sakte hai.

Friends pc build karne ka budget aapke upar depend karta hai agar aapko ek Normal usage jaise internet browsing, movies aur casual gaming ke liye pc chahiye toh aapka pc bahut kam rates me build ho jayega. Agar aap apne pc me high end gaming and video editing karna chahte hai toh aapka budget thoda badh jayega. Matlab aapki system requirment ke hisab se kam aur jyada hota jayega.

Budget Gaming Pc Build

* Computer Folder Icon Change Kaise Kare.
* Window 10 Install Kaise Kare (Full Guide)

Computer Importent Components

Processor – Pc Build karne me sabse jyada Problem aati hai. Processor select karne me kyuke agar aap internet par saerch karoge toh aapko bahut saare procesor mil jayege. jinme  i3, i5 Aur i7  Processor aate hai. Isme bhi aapko apni requirment dekhni hogi normal usage aur casual gaming ke liye i3 cpu best hai. Agar aap High End gaming ja fir video edit karna chahte hai toh i5 processor acha rahega.

Agar aap i7 ke liye jana chahte hai jo ke sabse latest processor hai. toh aapko jyada paise kharch karne honge.  yeh processor aap tab hi le jab aap Ultra HD Gaming aur High Graphics ke saath video editing karna chahte ho. agar aap i7 processor ko afford kar sakte hai toh is se achi baat kya hai.

Ab in processors me bhi har saal alag alag genration aati rehti hai. jaise ke 4th genration, 5th aur 6th Genration. agar aap latest genration lenge. toh aapko ek badiya performence milegi.

Intel Core i3-8100 8th Gen LGA 1151 Processor Rs. 12,145 Buy Now

Pc Ke Liye Processor Select Kaise Kare ? i3, i5 And i7

Ram – Ram jitna jyada hogi Performence bhi utni badiya milegi. is liye ram kam se kam 4 gb rakhe. Aap apne Budget ke hisaab se isko 8 GB ja fir is se jyada bhi bada sakte hai.

CORSAIR 8GB Vengeance LPX DDR4 PC4-19200 2400MHz Rs. 3,013 Buy Now

Graphic Card – Agar aap gaming ka asli maza lena chahte hai toh ek acha graphic card hona bahut jaruri hai. agar aapka Processor itna powerfull nahi hai. Toh aap ek badiya sa Graphic Card laga kar Cpu ki performence ko bahut improve kar sakte hai. Agar aap gaming ke shaukeen hai. toh aap minimum 2Gb ka graphic card jarur laye.

ASUS Cerberus GeForce GTX 1050 Ti 4GB OC Edition GDDR5 Graphics Card Rs. 11,300 Buy Now

MotherboardYeh pc ka sabse importance component hai. Ise khridne se pehle aapko bahut saari cheezo ka dhiyaan rakhna padta hai. jaise yeh kaun kaun se processor ko support karta hai aur isme hum kitni ram laga sakte hai.

Waise maine neeche jo website batayi hai. usme aapko sirf processor ko select karna hai jo aap pc me lagana chahte hai. fir website us processor ke hisaab se sirf wo hi motherboard show karega jo us processor ko support karte ho.

Gigabyte H310M-H HDMI and VGA Port Ultra Durable motherboard Rs. 4,899 Buy Now

Motherboard Select Kaise Kare ? Pc Ke Liye

HDD – Hard Disk aap apne hisaab se laga sakte hai example 500 GB ja Fir 1 TB

WD Blue Desktop 1TB Internal Hard Drive (WD10EZEX) Rs. 3,100 Buy Now

SSD – Yeh bhi ek trah ki storage hoti hai. jo HDD se Fast hoti hai. yeh thodi expensive hai. Agar aap apne computer ki performence improve karna chahte hai toh aap ek ssd bhi laga sakte hai. Aap SSD Storage me apna Operating System rakh sakte hai. jis se aapka pc smoothly run karega.

Western Digital WD Green 240 GB 2.5 inch SATA III Internal Solid State Drive Rs. 2,449 Buy Now

PSU – Jani Power Supply – Dosto yeh ek bahut hi important component hai. jyadatar logo ko power supply lene me confusion hoti hai. ke woh kaun C PSU le. System ke hisaab se PSU lene ke liye aap  Power Supply Calculator par click kare.

Is website me aapko apne system ki kuch jankari fill karni hai. fir yeh website aapke pc ke requirment ke hisaab se power supply bata degi. aur aapko online Buy karne ka link bhi mil jayega.

Corsair VS Series VS450 – 450 Watt SMPS Rs. 2,586 Buy Now

Friends upar maine kuch important component ke baare me jankari batayi hai. ab aap neeche website me ja kar upar batayi sabhi baaton ka dhiyaan rakh kar ek acha pc build kar sakte hai.

Budget Gaming Pc Build Kaise Kare Full Guide In Hindi

1. Budget Pc Build karne ke liye aapko assembleyourpc.net website ko open karna hoga.

2. Fir aapko Build My Pc par click karna hoga. Fir Neeche jaisa page open hoga.

BUILD PC

3. Sabse pehle aapko ek acha sa processor select karna hai.

Note. Jab aap processor select karoge toh aage jo bhi parts aayege jaise motherboard, ram, gpu, hdd, power supply  sab us processor ko support karenge. aap apne budget aur requirment ke hisaab se koi bhi component select kar sakte hai

Is website me sabse achi baat yeh hai isme price india rupees me dikhta hai. aur aapko component ko buy karne ke liye online link mil jate hai

4.  Apne jarurat ke saare component ko ek ek karke select karle.

5. Jaise hi aap sabhi component select karle toh aap last me View My Final Rig par click kare.

Fir aapke samne pc ka final price show ho jayega.

Note. Agar aap sabhi component online buy karenge toh aapko saste milegi.

Upar bataye huye pc build ka budget 35,000 ke aas paas padega. Isme aap Big games jaise  Gta5, The witcher 3, Watch Dogs, PUBG, Fortnite bahut aaram se play kar sakte hai.

Dosto umeed karta hu aapko Budget Gaming Pc Build Kaise Kare Full Guide Hindi Post Achi Lagi Hogi. Aap is post se related koi bhi swaal neeche comment me puch sakte hai.

वैशाली

वैशाली लखनऊ उत्तर प्रदेश से हैं। वह शिक्षा के क्षेत्र से जुड़ीं हैं, और लोगों के साथ ज्ञानवर्धक जानकारी साक्षा करने में रूचि रखतीं हैं। इनके काफी लेख इन्टरनेट पर प्रकाशित हो चुके हैं।

Comments (12)

Leave a Comment