Amazon Prime Kya Hai ? Aur Isko Use Kaise Kare Free Delivery Ke Liye.

Amazon Prime Kya Hai ? aur isko use kaise kare. prime amazon online shopping company ki ek new service hai. jisko ab india me launch kar diya gaya hai. Aaj hum is post me amazon prime ke baare me full detail me janege.

Amazon Prime Kya Hai? Free Delivery

Aap sab amazon online shopping site ke baare me toh jante honge. agar nahi jante toh main aapko bata du. amazon ek american company hai. jo ke ab india me bhi bahut popular ho chuki hai. is website se aap bahut saare product online order kar sakte hai. yeh toh baat ho gayi website ki ab is company ne jo new service launch ki amazon prime uske bare me bhi jaan lete hai.

 

Amazon Prime Kya Hai Aur Isko Use Kaise Kare Free Delivery Ke Liye.

Amazon Ne Ek new feature launch kiya hai. jiska name amazon prime hai. yeh service america me toh pehle se thi ab isko india me bhi launch kar diya gaya hai. aapne agar koi 499 ke neeche ka koi product amazon par order kiya hoga toh aapko delivery charges or shipping charges ke name se kuch extra paise dene padte hai. kayi baar toh delivery charges aapke product ke price se bhi jyada hote hai. toh is liye prime service ko launch kiya gaya hai.

Is service ko use karke aap koi bhi product ko without any delivery charges ke order kar sakte hai. Example agar aapka product 50 rupaye ka hai toh aapko sirf 50 rupaye dene honge. Aur koi extra charges nahi dena padhega. toh ab aapko pata chal gaya hoga amazon prime service ke baare me.

* Video Background Change Kaise Kare.
* Wifi Password Kaise Pata Kare (Connected)

Is service ko aap 60 days tak free use kar sakte hai. aur uske baad aapko ek saal ke 499 rupaye dene padhege. Yeh service only 60% product ke liye available hai.

Amazon Prime Ke Fayde –

  • Aapko Free Aur Fast Delivery milegi.
  • Agar aap same day delivey chahte hai. aapko 50 rupay ka discount milega. aapko sirf 100 rupaye dene padhega.
  • One Day Delivery Aur 2 Days Delivery bilkul free milegi.
  • 499 ke neeche ke bhi sabhi product aapko free delivey ke jariye milege.
  • Koi new offer aur flash sale ki jankari sabse pehle amazon prime ke user ko milegi.
Amazon Prime Delivery Benifits

Is service ko use karne ke liye Amazon Site par jaye waha par aapko amazon prime start your free trial 60 days ki option par click karke sign in ja fir sign up karna hai.

Amazon Prime Free 60 Days Free Trial

sign in karne ke baad aapke samne sabhi categories aa jayegi aap un categories par click karke. koi bhi product buy kar sakte hai.

* Whatsapp Account USA Number Se Kaise Banaye.
* Android Phone Window 7 Me Change Kaise Kare.

Yeh service sirf un product par milegi jinke neeche amazon prime ka logo hoga.

Amazon Prime Logo

Aap yeh service ek baar jarur try karke dekhe agar aapko service achi lage toh aap 499 rupaye de kar isko ek year tak use kar sakte hai.

* Airtel Me Free 3G/4G Internet Kaise Chalaye.
* EA Cricket 07 Pc Game Player Name Change Kaise Kare Permanent.

Dosto umid karta hu aapko amazon prime kya hai ? aur isko use kaise kare free delivery ke liye. information achi lagi hogi. Ab aap is service ko try karke dekhe. Aur prime service use karne ke baad bataye aapko yeh service kaisi lagi.

वैशाली

वैशाली लखनऊ उत्तर प्रदेश से हैं। वह शिक्षा के क्षेत्र से जुड़ीं हैं, और लोगों के साथ ज्ञानवर्धक जानकारी साक्षा करने में रूचि रखतीं हैं। इनके काफी लेख इन्टरनेट पर प्रकाशित हो चुके हैं।

Leave a Comment