Airtel Internet TV Set Top Box Ki Puri Jankari Hindi Me: Dosto airtel ne wednesday jani aaj apna airtel Internet Set Top Box launch kar diya hai. Isme aapko bahut saare features milte hai. Yeh set top box 4k content ko bhi play kar sakta hai. Iske ilawa bhi aapko isme bahut saare features milenge. Jinke baare me hum neeche baat karenge.
Aap logo ko pata hoga. Jio bhi apna set top box launch karne wala hai. Aapne internet par jio set top box ki bahut saari video bhi dekhi hogi. Magar jio se pehle airtel ne apna DTH launch kar diya hai. Jisme aapko Internet ki support milti hai.
Is Set Top Box ki help se aap apne normal tv ko Smart tv me convert kar sakte hai. Airtel Android Tv me woh sabhi feature hai, jo expensive smart Tv me hote hai.
Airtel Internet Tv Full Information In Hindi
Airtel Company ne bataya hai, yeh first hybrid DTH set top box hai, jo android ke saath me aayega. Matlab aapko isme android operating system milega. Iske saath aapko netflix bhi milega, jisme aap unlimited movies watch kar sakte hai.
Airtel Internet Tv Features
Is set top box me aapko 500 se jyada Tv channel milenge. Channel ke ilawa aapko netflix, youtube, google play store aur airtel movies jaise features milenge. Jo ke ab tak hame sirf android mobile par hi mil rahe the.
Aap isme 4k movies video bhi watch kar sakte hai. Audio ki baat kare, toh aapko isme dolby atmos audio milti hai. Iske saath saath aap isme pendrive laga kar recording bhi kar sakte hai.
- Bluetooth se Wifi Internet Connection Share Kaise Kare
- Free Me Wifi Kaise Chalaye Everywhere In India
Isme aapko inbuilt wifi feature milta hai. Jis se aap is airtel set top box ko apne home wifi network ja mobile hotspot ke saath connect kar sakte hai, aur aapko isme bluetooth ki bhi support mil jati hai, jis se aap wireless headphone, controller aur keyboard bhi connect kar sakte hai.
Airtel Internet Tv Chromecast ke support ke saath aata hai. Matlab aap apne android phone aur tablet ki screen ko apne tv par mirror jani dikha sakenge, aur iske saath aapko voice command ka feature bhi mil jata hai.
Airtel Internet Tv Plans
Airtel Internet Tv set top box 2 plan me mil raha hai. chaliye neeche inke baare me detail me jaan lete hai.
Rs. 4999 Plan –
Agar aap yeh set top box 4999 ka lenge, toh aapko 3 months ke liye SD+HD Channel free dekhne ko milenge. Iske ilawa Eros Now ka 3 months subscription aur netflix ka 1 month subscription bilkul free me milega.
Rs. 7999 Plan
Agar aap yeh set top box 7999 ka lete hai, toh aapko isme 12 months SD+HD Channel free dekhne ko milenge. Iske ilawa pehle plan jaise eros now 3 months aur netflix 1 month subscription free milega.
- BSNL Unlimited 3G Plan No FUP Limit | Puri Jankari
- Online IPL Match Live Kaise Dekhe Phone Aur Pc Par
Agar aap airtel android Set top box ko lagwana chahte hai, toh aapke paas 4G ja fir brodband internet connection hona chahiye. Jiski speed 4mbps ki ho, toh hi aap in features ko ache se access kar payenge.
Note. Agar aap sirf tv channels dekhna chahte hai, toh fir aapko internet connection ki koi jarurat nahi hai.
Free Preview plan khatam hone ke baad agar aap sabhi SD channel chalana chahte hai, toh woh aapko 400 rupaye per month me milenge, aur all SD aur HD Channels 700 rupaye per month me padege.
Dosto agar aapko “Airtel Internet TV Set Top Box Ki Puri Jankari Hindi Me” article acha laga ho, toh is article ko like aur share jarur kare.
New latest updates email me pane ke liye aap BlogForIndia Blog ko subscribe jarur kare.
Thank you Post this Article
Thank you Post this Article